dushmanon ki kabhi fihrist baDhata nahin main
dushmanoñ kī kabhī fihrist baḌhātā nahīñ maiñ
ishq kis se hai kisī ko bhī batātā nahīñ maiñ
us ne is tarah pukārā ki palaTnā hī paḌā
varna ik baar chalā jā.ūñ to aatā nahīñ maiñ
terī qismat ki tū is dil meñ rahā kartā hai
ye vo masnad hai jahāñ sab ko biThātā nahīñ maiñ
mere sayyād mujhe ab to rihā mat karnā
tere daane ke sivā kuchh bhī to khātā nahīñ maiñ
jo bhī hotā hai vo achchhe ke liye hotā hai
is liye zaḳhm pe marham bhī lagātā nahīñ maiñ
apnī marzī se chalātā huuñ ghaḌī ko apnī
vaqt apnā kabhī auroñ se milātā nahīñ maiñ
itnā saada hai ki ḳhat bhī nahīñ likhnā aatā
us ke ḳhat ghar meñ kisī se bhī chhupātā nahīñ maiñ
mujh ko shā.ir kabhī taslīm karegī duniyā
sher kahtā huuñ magar piitā pilātā nahīñ maiñ
dushmanon ki kabhi fihrist baDhata nahin main
ishq kis se hai kisi ko bhi batata nahin main
us ne is tarah pukara ki palaTna hi paDa
warna ek bar chala jaun to aata nahin main
teri qismat ki tu is dil mein raha karta hai
ye wo masnad hai jahan sab ko biThata nahin main
mere sayyaad mujhe ab to riha mat karna
tere dane ke siwa kuchh bhi to khata nahin main
jo bhi hota hai wo achchhe ke liye hota hai
is liye zaKHm pe marham bhi lagata nahin main
apni marzi se chalata hun ghaDi ko apni
waqt apna kabhi auron se milata nahin main
itna sada hai ki KHat bhi nahin likhna aata
us ke KHat ghar mein kisi se bhi chhupata nahin main
mujh ko shair kabhi taslim karegi duniya
sher kahta hun magar pita pilata nahin main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.