dushmanon se na sage bhai se ghabraate hain
dushmanoñ se na sage bhaa.ī se ghabrāte haiñ
jo bure log haiñ sachchā.ī se ghabrāte haiñ
ham ko izzat mile apnoñ ko burā lagtā hai
is liye hausla-afzā.ī se ghabrāte haiñ
din nikalte hī tirī yaad chalī aatī hai
shaam hotī hai to tanhā.ī se ghabrāte haiñ
ishq to kar leñ magar is meñ hai nuqsān bahut
ham vo baniye haiñ jo bharpā.ī se ghabrāte haiñ
aa.ina sāmne rakh kar na yahāñ baat karo
ye vo bachche haiñ jo parchhā.ī se ghabrāte haiñ
haa.e vo log jo māñ-bāp ko karte haiñ zalīl
aur ik ham jo baḌe bhaa.ī se ghabrāte haiñ
log tālib haiñ ki shohrat kā alam ūñchā ho
aur ham ḳhud kī shanāsā.ī se ghabrāte haiñ
baat karte haiñ samundar meñ utar jaane kī
vo jo tālāb kī gahrā.ī se ghabrāte haiñ
dushmanon se na sage bhai se ghabraate hain
jo bure log hain sachchai se ghabraate hain
hum ko izzat mile apnon ko bura lagta hai
is liye hausla-afzai se ghabraate hain
din nikalte hi teri yaad chali aati hai
sham hoti hai to tanhai se ghabraate hain
ishq to kar len magar is mein hai nuqsan bahut
hum wo baniye hain jo bharpai se ghabraate hain
aaina samne rakh kar na yahan baat karo
ye wo bachche hain jo parchhai se ghabraate hain
hae wo log jo man-bap ko karte hain zalil
aur ek hum jo baDe bhai se ghabraate hain
log talib hain ki shohrat ka alam uncha ho
aur hum KHud ki shanasai se ghabraate hain
baat karte hain samundar mein utar jaane ki
wo jo talab ki gahrai se ghabraate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.