dushwari-e-manzil se dushwar na ho jaen
dushvārī-e-manzil se dushvār na ho jaa.eñ
ham apne hī raste kī dīvār na ho jaa.eñ
zaḳhmoñ pe na bhārī ho ye chāragarī terī
achchhe bhī tire hāthoñ bīmār na ho jaa.eñ
māñgī na duā ham ne ye soch bahāroñ kī
gulshan kahīñ auroñ ke gulzār na ho jaa.eñ
ik aur taqāzā hai hamrāh chalo mere
Dar ye bhī hai dil meñ ham tayyār na ho jaa.eñ
ye saañs kā aa jaanā ye dil kā dhaḌak uThnā
ye kaam bhī kal ham ko dushvār na ho jaa.eñ
tārīki-e-shab se ab kuchh duur saverā hai
bas sub.h se pahle ham bedār na ho jaa.eñ
manzil ko dikhāne haiñ pairoñ ke abhī chhāle
allāh kahīñ raste hamvār na ho jaa.eñ
hai zer-e-nazar sāhil ḳhāmosh hai tūfāñ bhī
is baar kahīñ dariyā ham paar na ho jaa.eñ
dushwari-e-manzil se dushwar na ho jaen
hum apne hi raste ki diwar na ho jaen
zaKHmon pe na bhaari ho ye chaaragari teri
achchhe bhi tere hathon bimar na ho jaen
mangi na dua hum ne ye soch bahaaron ki
gulshan kahin auron ke gulzar na ho jaen
ek aur taqaza hai hamrah chalo mere
Dar ye bhi hai dil mein hum tayyar na ho jaen
ye sans ka aa jaana ye dil ka dhaDak uThna
ye kaam bhi kal hum ko dushwar na ho jaen
tariki-e-shab se ab kuchh dur sawera hai
bas subh se pahle hum bedar na ho jaen
manzil ko dikhane hain pairon ke abhi chhaale
allah kahin raste hamwar na ho jaen
hai zer-e-nazar sahil KHamosh hai tufan bhi
is bar kahin dariya hum par na ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.