du-badu jab se koi goya hua
dū-badū jab se koī goyā huā
donoñ aalam se huuñ maiñ khoyā huā
sub.h tum ko muskurātā dekh kar
hañs diyā ik raat kā rotā huā
aa ke mayyat par mirī us ne kahā
ishq kā maarā hai ye soyā huā
kyoñ na ḳhār-e-ishq ho mujh ko aziiz
dil kī ḳhvāhish kā hai ye boyā huā
qalb hai band aur āñkheñ band haiñ
sab samajhte haiñ mujhe soyā huā
phir taḌaptā hai isī jalve ko dil
hai jo lākhoñ baar kā dekhā huā
ashk-e-ġham hī kā ye sadqa hai 'qadīr'
dil jo motī ban gayā dhoyā huā
du-badu jab se koi goya hua
donon aalam se hun main khoya hua
subh tum ko muskuraata dekh kar
hans diya ek raat ka rota hua
aa ke mayyat par meri us ne kaha
ishq ka mara hai ye soya hua
kyon na KHar-e-ishq ho mujh ko aziz
dil ki KHwahish ka hai ye boya hua
qalb hai band aur aankhen band hain
sab samajhte hain mujhe soya hua
phir taDapta hai isi jalwe ko dil
hai jo lakhon bar ka dekha hua
ashk-e-gham hi ka ye sadqa hai 'qadir'
dil jo moti ban gaya dhoya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.