Dub gaya hai ek sitara aankhon mein
Duub gayā hai ek sitāra āñkhoñ meñ
Thahar gayā hai naqsh tumhārā āñkhoñ meñ
pathrā.ī haiñ āñkheñ ġham kī shiddat se
rukā huā hai mausam saarā āñkhoñ meñ
vo logoñ ke saath hañsī meñ shāmil thī
phail gayā lekin maskārā āñkhoñ meñ
maiñ ne us kī āñkhoñ meñ chehra dekhā
us ne apnā ruup sañvārā āñkhoñ meñ
bahut dinoñ se ham ko niiñd nahīñ aa.ī
tum ne kaisā ḳhvāb utārā āñkhoñ meñ
chāroñ jānib paanī kī pahnā.ī hai
kahīñ nahīñ hai koī kinārā āñkhoñ meñ
liye hue phirtā huuñ ek zamāne se
tere chehre kā lashkārā āñkhoñ meñ
Dub gaya hai ek sitara aankhon mein
Thahar gaya hai naqsh tumhaara aankhon mein
pathrai hain aankhen gham ki shiddat se
ruka hua hai mausam sara aankhon mein
wo logon ke sath hansi mein shamil thi
phail gaya lekin maskara aankhon mein
main ne us ki aankhon mein chehra dekha
us ne apna rup sanwara aankhon mein
bahut dinon se hum ko nind nahin aai
tum ne kaisa KHwab utara aankhon mein
chaaron jaanib pani ki pahnai hai
kahin nahin hai koi kinara aankhon mein
liye hue phirta hun ek zamane se
tere chehre ka lashkara aankhon mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 55)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.