Dub jaana mera muqaddar tha
Duub jaanā mirā muqaddar thā
us kī āñkheñ na thiiñ samundar thā
sabab-e-dil-shikastagī mat pūchh
sāmne aa.ine ke patthar thā
be-tavāzun guzar rahī hai hayāt
vo mirī zindagī kā mehvar thā
jis kī sāñsoñ meñ thī masīhā.ī
us kā ek ek lafz nashtar thā
us ko dekhā to mar gayā shāyad
mujh meñ poshīda ek aazar thā
jis ko 'ābid' sukūn-e-dil kahiye
ab nahīñ hai kabhī mayassar thā
Dub jaana mera muqaddar tha
us ki aankhen na thin samundar tha
sabab-e-dil-shikastagi mat puchh
samne aaine ke patthar tha
be-tawazun guzar rahi hai hayat
wo meri zindagi ka mehwar tha
jis ki sanson mein thi masihai
us ka ek ek lafz nashtar tha
us ko dekha to mar gaya shayad
mujh mein poshida ek aazar tha
jis ko 'abid' sukun-e-dil kahiye
ab nahin hai kabhi mayassar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.