Dub kar KHud mein kabhi yun be-karan ho jaunga
Duub kar ḳhud meñ kabhī yuuñ be-karāñ ho jā.ūñgā
ek din maiñ bhī zamīñ par āsmāñ ho jā.ūñgā
reza reza Dhaltā jaatā huuñ maiñ harf o saut meñ
rafta rafta ik na ik din maiñ bayāñ ho jā.ūñgā
tum bulāoge to aa.egī sadā-e-bā-gasht
vo bhī din aa.egā jab suunā makāñ ho jā.ūñgā
tum haTā lo apne ehsānāt kī parchhā.iyāñ
mujh ko jiinā hai to apnā sā.ebāñ ho jā.ūñgā
ye sulagtā jism Dhal jā.egā jab barfāb meñ
maiñ badalte mausamoñ kī dāstāñ ho jā.ūñgā
muntazir sadiyoñ se huuñ 'āzād' us lamhe kā jab
roz-e-raushan kī tarah ḳhud par ayaañ ho jā.ūñgā
Dub kar KHud mein kabhi yun be-karan ho jaunga
ek din main bhi zamin par aasman ho jaunga
reza reza Dhalta jata hun main harf o saut mein
rafta rafta ek na ek din main bayan ho jaunga
tum bulaoge to aaegi sada-e-ba-gasht
wo bhi din aaega jab suna makan ho jaunga
tum haTa lo apne ehsanat ki parchhaiyan
mujh ko jina hai to apna saeban ho jaunga
ye sulagta jism Dhal jaega jab barfab mein
main badalte mausamon ki dastan ho jaunga
muntazir sadiyon se hun 'azad' us lamhe ka jab
roz-e-raushan ki tarah KHud par ayan ho jaunga
- Book : Aab-e-Sharab (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.