Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dub kar meri mar gai aankhen

Aves Sayyad

Dub kar meri mar gai aankhen

Aves Sayyad

MORE BYAves Sayyad

    Duub kar merī mar ga.ī āñkheñ

    dekhī jab vo shanāvarī āñkheñ

    merī bāteñ bahut ghumātī haiñ

    kaash hotīñ paḌhī likhī āñkheñ

    'mīr' ne bhī sunī ġhazal us se

    jab khulī us masnavī āñkheñ

    ik safar saat āsmānoñ

    ik zamīñ par musāfirī āñkheñ

    ab talak merī ruuh andar hai

    koī khole vazā.ifī āñkheñ

    jhiil par nāchtā huā ik mor

    us pe terī jhukī huī āñkheñ

    terī āñkhoñ pe ye ghanī zulfeñ

    terī zulfoñ pe ye mirī āñkheñ

    Dub kar meri mar gai aankhen

    dekhi jab wo shanawari aankhen

    meri baaten bahut ghumati hain

    kash hotin paDhi likhi aankhen

    'mir' ne bhi suni ghazal us se

    jab khuli us ki masnawi aankhen

    ek safar sat aasmanon ka

    ek zamin par musafiri aankhen

    ab talak meri ruh andar hai

    koi khole wazaifi aankhen

    jhil par nachta hua ek mor

    us pe teri jhuki hui aankhen

    teri aankhon pe ye ghani zulfen

    teri zulfon pe ye meri aankhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now