Dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the
Dūbne vaale bhī tanhā the tanhā dekhne vaale the
jaise ab ke chaḌhe hue the dariyā dekhne vaale the
aaj to shaam hī se ā.ankhoñ meñ niiñd ne ḳheme gaaḌ diye
ham to din nikle tak terā rasta dekhne vaale the
ik dastak kī rim-jhim ne andeshoñ ke dar khol diye
raat agar ham so jaate to sapnā dekhne vaale the
ek savār kī saj-dhaj ko rastoñ kī vahshat nigal ga.ī
varna is tyauhār pe ham bhī mela dekhne vaale the
maiñ ne jis saf ko chhoḌā hai us meñ shāmil saare log
apne qad ko bhuul ke apnā saayā dekhne vaale the
maiñ paanī aur aag se ik miTTī kī ḳhātir lauTā thā
aur ye donoñ aalam khel-tamāshā dekhne vaale the
ab ā.īna hairat se ik ik kā muñh taktā hai 'salīm'
pahle log to ā.īñe meñ chehra dekhne vaale the
Dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the
jaise ab ke chaDhe hue the dariya dekhne wale the
aaj to sham hi se aaankhon mein nind ne KHeme gaD diye
hum to din nikle tak tera rasta dekhne wale the
ek dastak ki rim-jhim ne andeshon ke dar khol diye
raat agar hum so jate to sapna dekhne wale the
ek sawar ki saj-dhaj ko raston ki wahshat nigal gai
warna is tyauhaar pe hum bhi mela dekhne wale the
main ne jis saf ko chhoDa hai us mein shamil sare log
apne qad ko bhul ke apna saya dekhne wale the
main pani aur aag se ek miTTi ki KHatir lauTa tha
aur ye donon aalam khel-tamasha dekhne wale the
ab aaina hairat se ek ek ka munh takta hai 'salim'
pahle log to aaine mein chehra dekhne wale the
- Book : meyaar (Pg. 348)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.