Dubte Dubte suraj ne ziyaen din hain
Dūbte Dūbte sūraj ne ziyā.eñ diiñ haiñ
terī yādoñ ne bahut dil ko sadā.eñ diiñ haiñ
ye adālat kisī tahrīr kī muhtāj nahīñ
vaqt ne har kas-o-nā-kas ko sazā.eñ diiñ haiñ
zindagī tujh ko barahna nahīñ rakkhā hai kabhī
ham ne har dard ko lafzoñ kī qabā.eñ diiñ haiñ
sirf fayyāzī ke qisse na muarriḳh likhnā
bujhte sho.aloñ ko bhī to us ne havā.eñ diiñ haiñ
shā.erī yūñhī nahīñ puḳhta mirī ai 'shauqī'
mere ustād ne kuchh aisī duā.eñ diiñ haiñ
Dubte Dubte suraj ne ziyaen din hain
teri yaadon ne bahut dil ko sadaen din hain
ye adalat kisi tahrir ki muhtaj nahin
waqt ne har kas-o-na-kas ko sazaen din hain
zindagi tujh ko barahna nahin rakkha hai kabhi
hum ne har dard ko lafzon ki qabaen din hain
sirf fayyazi ke qisse na muarriKH likhna
bujhte shoalon ko bhi to us ne hawaen din hain
shaeri yunhi nahin puKHta meri ai 'shauqi'
mere ustad ne kuchh aisi duaen din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.