Dubte suraj jaisa manzar lagta hai
Dūbte sūraj jaisā manzar lagtā hai
hijr meñ bojhal āñkhoñ se Dar lagtā hai
ghus aatā hai ghor añdherā shaam Dhale
chāñd jab aa jaatā hai to ghar lagtā hai
vo to ġhamoñ ke biich bhī hañstā rahtā hai
us kā sarāpā nuur kā paikar lagtā hai
jīvan meñ har shaam saverā aur sahī
kahāñ kahāñ par apnā bistar lagtā hai
sab ke makāñ shīshe ke hote jaate haiñ
dekh ke mere dil par patthar lagtā hai
barf ke chhūne se bhī jal jaate haiñ haath
aur kabhī ik lafz bhī ḳhanjar lagtā hai
jis jānib bhī dekhūñ paivand abr ke haiñ
ambar bhī baabā kī chādar lagtā hai
ab vo log muhāfiz ban ke nikle haiñ
jin ko apnī zaat se ḳhud Dar lagtā hai
hastī ko be-samjhe būḌhe hone lage
jaane 'nāshir' kyoñ ye aksar lagtā hai
Dubte suraj jaisa manzar lagta hai
hijr mein bojhal aankhon se Dar lagta hai
ghus aata hai ghor andhera sham Dhale
chand jab aa jata hai to ghar lagta hai
wo to ghamon ke bich bhi hansta rahta hai
us ka sarapa nur ka paikar lagta hai
jiwan mein har sham sawera aur sahi
kahan kahan par apna bistar lagta hai
sab ke makan shishe ke hote jate hain
dekh ke mere dil par patthar lagta hai
barf ke chhune se bhi jal jate hain hath
aur kabhi ek lafz bhi KHanjar lagta hai
jis jaanib bhi dekhun paiwand abr ke hain
ambar bhi baba ki chadar lagta hai
ab wo log muhafiz ban ke nikle hain
jin ko apni zat se KHud Dar lagta hai
hasti ko be-samjhe buDhe hone lage
jaane 'nashir' kyon ye aksar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.