Dubunga kaise main ki ye pani simaT gaya
Dūbūñgā kaise maiñ ki ye paanī simaT gayā
dariyā to yaar ret ke Tīloñ meñ baT gayā
tanhā.iyāñ bhī haath jhaTak kar chalī ga.iiñ
maiñ bhī kisī charāġh kī lau se lipaT gayā
ik roz apnā qāfila-e-nam dikhā diyā
phir apne aap dukh kā samundar palaT gayā
ik shaam zindagī se udāsī chalī ga.ī
marne kī chaah se bhī mirā jī uchaT gayā
aql-o-ḳhirad pe sach kī siyāhī bikhar ga.ī
raushan huā dimāġh to dil se lipaT gayā
muddat ke baa'd us se mirā sāmnā huā
maiñ ne kahā ki kaun to ā.īna haT gayā
Dubunga kaise main ki ye pani simaT gaya
dariya to yar ret ke Tilon mein baT gaya
tanhaiyan bhi hath jhaTak kar chali gain
main bhi kisi charagh ki lau se lipaT gaya
ek roz apna qafila-e-nam dikha diya
phir apne aap dukh ka samundar palaT gaya
ek sham zindagi se udasi chali gai
marne ki chah se bhi mera ji uchaT gaya
aql-o-KHirad pe sach ki siyahi bikhar gai
raushan hua dimagh to dil se lipaT gaya
muddat ke ba'd us se mera samna hua
main ne kaha ki kaun to aaina haT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.