duje jahan mein mubtala rahta hun har ghaDi
duuje jahāñ meñ mubtalā rahtā huuñ har ghaḌī
mujh sā tire jahān meñ hogā nahīñ koī
do-chār log hī to mire ġham-gusār haiñ
baaqī jahān saarā mujhe hai ye ajnabī
bo kar do biij lauTā nahīñ koī bāġhbāñ
tā-umr do daraḳht ko banjar zamīñ milī
āvāz koī khīñch ke le aa.ī is taraf
varna to jā chukī thī bahut duur zindagī
ḳhush-hāl zindagī thī maiñ ḳhush-hāl thā bahut
ik dam se ek din mirī duniyā badal ga.ī
ik raat ek ḳhvāb meñ maiñ Dūbtā rahā
ik sub.h aa.ī rū-ba-rū ta.abīr tairtī
itnā bhī ḳhush na bāġhbāñ ho dekh kar bahār
aisī bhī ek maañ hai jo maañ bhī nahīñ banī
kuchh der ḳhāksār se mil paa.ī andalīb
kuchh der baad peḌ girā aur mar ga.ī
har shai to ho ga.ī thī muqābil mire magar
tasvīr ek bārhā merī taraf rahī
Thahro kisī kī aap kyā bigḌī banā.eñge
'sohil' janāb aap se apnī kabhī banī
duje jahan mein mubtala rahta hun har ghaDi
mujh sa tere jahan mein hoga nahin koi
do-chaar log hi to mere gham-gusar hain
baqi jahan sara mujhe hai ye ajnabi
bo kar do bij lauTa nahin koi baghban
ta-umr do daraKHt ko banjar zamin mili
aawaz koi khinch ke le aai is taraf
warna to ja chuki thi bahut dur zindagi
KHush-haal zindagi thi main KHush-haal tha bahut
ek dam se ek din meri duniya badal gai
ek raat ek KHwab mein main Dubta raha
ek subh aai ru-ba-ru tabir tairti
itna bhi KHush na baghban ho dekh kar bahaar
aisi bhi ek man hai jo man bhi nahin bani
kuchh der KHaksar se mil pai andalib
kuchh der baad peD gira aur mar gai
har shai to ho gai thi muqabil mere magar
taswir ek barha meri taraf rahi
Thahro kisi ki aap kya bigDi banaenge
'sohil' janab aap se apni kabhi bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.