dur dil ka malal karte hain
duur dil kā malāl karte haiñ
silsile sab bahāl karte haiñ
dil ko phir pā.emāl karte haiñ
ḳhud ko yuuñ lā-zavāl karte haiñ
hālat-e-hijr dekh lete haiñ
ārzū-e-visāl karte haiñ
rāste meñ bichhe raheñ kab tak
nain mere savāl karte haiñ
aur koī bhī kar nahīñ saktā
aap jitnā ḳhayāl karte haiñ
log aise yahāñ bhī baste haiñ
jo ki jiinā muhāl karte haiñ
aap kyoñ merī fikr meñ apne
rā.egāñ māh-o-sāl karte haiñ
ek jaadū sā mujh pe aksar hī
ishq ke ḳhadd-o-ḳhāl karte haiñ
dur dil ka malal karte hain
silsile sab bahaal karte hain
dil ko phir paemal karte hain
KHud ko yun la-zawal karte hain
haalat-e-hijr dekh lete hain
aarzu-e-visal karte hain
raste mein bichhe rahen kab tak
nain mere sawal karte hain
aur koi bhi kar nahin sakta
aap jitna KHayal karte hain
log aise yahan bhi baste hain
jo ki jina muhaal karte hain
aap kyon meri fikr mein apne
raegan mah-o-sal karte hain
ek jadu sa mujh pe aksar hi
ishq ke KHadd-o-KHal karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.