dur jaane ke tumhaare din jo pas aane lage
duur jaane ke tumhāre din jo paas aane lage
titliyāñ aatī haiñ kam kam gul bhī murjhāne lage
lauT jaane kā irāda tum ne jab zāhir kiyā
hāl-e-furqat soch kar ham ro.e ghabrāne lage
aaj din vo aa gayā hai jis kā sochā bhī na thā
ham na the kal tak kisī ke tere kahlāne lage
jānte ho jaañ bhī de deñge tumhāre naam par
phir batāo ham tumheñ kyoñ itne begāne lage
sāniha tujh se bichhaḌ jaane kā aisā hai ki dost
āñsuoñ meñ Duub kar ham dil ko bahlāne lage
sun ke tote kī sadā bhī muntazir un ke hue
dekhiye kis kis kī ab bātoñ meñ ham aane lage
ho ga.ī ulfat unheñ bhī aaj ham se āḳhirash
dekh kar vo aa.ina ab ḳhud se sharmāne lage
ek din denā paḌegā apne jurmoñ kā hisāb
kitne haiñ dastūr toḌe kitne jurmāne lage
haal kaise ho gayā 'hāsil' kā kyā batlā.eñ ab
jab bhī koī baat kī vo ham ko dīvāne lage
dur jaane ke tumhaare din jo pas aane lage
titliyan aati hain kam kam gul bhi murjhane lage
lauT jaane ka irada tum ne jab zahir kiya
haal-e-furqat soch kar hum roe ghabrane lage
aaj din wo aa gaya hai jis ka socha bhi na tha
hum na the kal tak kisi ke tere kahlane lage
jaante ho jaan bhi de denge tumhaare nam par
phir batao hum tumhein kyon itne begane lage
saniha tujh se bichhaD jaane ka aisa hai ki dost
aansuon mein Dub kar hum dil ko bahlane lage
sun ke tote ki sada bhi muntazir un ke hue
dekhiye kis kis ki ab baaton mein hum aane lage
ho gai ulfat unhen bhi aaj hum se aaKHirash
dekh kar wo aaina ab KHud se sharmane lage
ek din dena paDega apne jurmon ka hisab
kitne hain dastur toDe kitne jurmane lage
haal kaise ho gaya 'hasil' ka kya batlaen ab
jab bhi koi baat ki wo hum ko diwane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.