dur karne ko teri zulf ka KHam utrenge
duur karne ko tirī zulf kā ḳham utreñge
āsmānoñ ke sitāre koī dam utreñge
hausla aur zarā hausla ai sang-ba-dast
vaqt aa.egā to ḳhud shāḳh se ham utreñge
ek ummīd pe ta.amīr kiyā hai ghar ko
us ke āñgan meñ kabhī tere qadam utreñge
hameñ likhnā hai zamīñ vāloñ ke ġham kā nauha
āsmānoñ se kisī roz qalam utreñge
itnī aaheñ na bharo ashk na saare bah jaa.eñ
tab-e-nāzuk pe abhī aur bhī ġham utreñge
jaise ham aañkh milā kar tire dil meñ aa.e
log is zīna-e-dushvār se kam utreñge
shād-o-shādāb usī vaqt rahūñgā 'yāsir'
sar-e-qirtās jab ash.ār ke yam utreñge
dur karne ko teri zulf ka KHam utrenge
aasmanon ke sitare koi dam utrenge
hausla aur zara hausla ai sang-ba-dast
waqt aaega to KHud shaKH se hum utrenge
ek ummid pe tamir kiya hai ghar ko
us ke aangan mein kabhi tere qadam utrenge
hamein likhna hai zamin walon ke gham ka nauha
aasmanon se kisi roz qalam utrenge
itni aahen na bharo ashk na sare bah jaen
tab-e-nazuk pe abhi aur bhi gham utrenge
jaise hum aankh mila kar tere dil mein aae
log is zina-e-dushwar se kam utrenge
shad-o-shadab usi waqt rahunga 'yasir'
sar-e-qirtas jab ashaar ke yam utrenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.