dur koi ho yahi haal hamesha dekha
duur koī ho yahī haal hamesha dekhā
TūTtā roz ġharīboñ kā bharosa dekhā
aur kuchh bhī nahīñ bhātā hai inheñ duniyā meñ
jab se āñkhoñ ne sanam aap kā chehra dekhā
sāmne dekh paḌī zar kī tijorī yaaro
pal meñ insān kā īmān badaltā dekhā
zindagī bhar kī taḌap dard-bharī tanhā.ī
‘ishq-bāzī kā yahī jag meñ natīja dekhā
dil meñ ik Tiis uThī āñkhoñ meñ aañsū aa.e
jab bhī 'āshiq kā kisī jag meñ janāza dekhā
merī mayyat pe vo aa.e to ye kahnā us se
tere 'āshiq ne tirā aaj bhī rasta dekhā
vo ho zardār koī yā ho vo muflis 'hīrā'
ġham ke dariyā meñ har ik shaḳhs ko Duubā dekhā
dur koi ho yahi haal hamesha dekha
TuTta roz gharibon ka bharosa dekha
aur kuchh bhi nahin bhata hai inhen duniya mein
jab se aankhon ne sanam aap ka chehra dekha
samne dekh paDi zar ki tijori yaro
pal mein insan ka iman badalta dekha
zindagi bhar ki taDap dard-bhari tanhai
‘ishq-bazi ka yahi jag mein natija dekha
dil mein ek Tis uThi aankhon mein aansu aae
jab bhi 'ashiq ka kisi jag mein janaza dekha
meri mayyat pe wo aae to ye kahna us se
tere 'ashiq ne tera aaj bhi rasta dekha
wo ho zardar koi ya ho wo muflis 'hira'
gham ke dariya mein har ek shaKHs ko Duba dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.