dur kya shama kabhi rahti hai parwane se
duur kyā sham.a kabhī rahtī hai parvāne se
aap kyuuñ ruuTh ga.e apne hī dīvāne se
jis tarah mai chhalak uTThe kabhī paimāne se
aap yuuñ duur hue apne hī mastāne se
pyaar kī aag meñ jalne kā mazā hai kaisā
kyā batā.egā koī pūchhiye parvāne se
mai-kade kī is udāsī se pata lagtā hai
tishna-lab uTh gayā shāyad koī maiḳhāne se
raat baaqī hai abhī jaane kī jaldī kyā hai
sab chalā jā.egā ik tere chale jaane se
lag ga.ī kis kī nazar daur-e-taraqqī pe ḳhudā
aaj apne hī nazar aate haiñ begāne se
dur kya shama kabhi rahti hai parwane se
aap kyun ruTh gae apne hi diwane se
jis tarah mai chhalak uTThe kabhi paimane se
aap yun dur hue apne hi mastane se
pyar ki aag mein jalne ka maza hai kaisa
kya bataega koi puchhiye parwane se
mai-kade ki is udasi se pata lagta hai
tishna-lab uTh gaya shayad koi maiKHane se
raat baqi hai abhi jaane ki jaldi kya hai
sab chala jaega ek tere chale jaane se
lag gai kis ki nazar daur-e-taraqqi pe KHuda
aaj apne hi nazar aate hain begane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.