dur main ho gaya tujhse ki nibhana na paDe
duur maiñ ho gayā tujh se ki nibhānā na paḌe
is liye joḌā nahīñ kuchh ki ghaTānā na paḌe
log kahte haiñ mujhe is liye tanhā.ī-pasand
mujh se pāgal ko kahīñ paas biThānā na paḌe
chāhtā ye huuñ koī biich kā rasta nikle
maiñ tire saath rahūñ us ko bhulānā na paḌe
baat to tab hai madārī ki tamāshe meñ tire
dil bahal jaa.e koī ashk bahānā na paḌe
us kī galiyoñ meñ vo vahshat hai agar dekhe to
tujh ko sahrā meñ kisī taur bhī jaanā na paḌe
dur main ho gaya tujh se ki nibhana na paDe
is liye joDa nahin kuchh ki ghaTana na paDe
log kahte hain mujhe is liye tanhai-pasand
mujh se pagal ko kahin pas biThana na paDe
chahta ye hun koi bich ka rasta nikle
main tere sath rahun us ko bhulana na paDe
baat to tab hai madari ki tamashe mein tere
dil bahal jae koi ashk bahana na paDe
us ki galiyon mein wo wahshat hai agar dekhe to
tujh ko sahra mein kisi taur bhi jaana na paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.