dur mujhse le gain mujhko meri hairaniyan
duur mujh se le ga.iiñ mujh ko mirī hairāniyāñ
aur le Dūbīñ nazar ko diid kī āsāniyāñ
yaad aatā hai achānak jab koī rangīñ jamāl
gulsitāñ-andāz hotī haiñ mirī vīrāniyāñ
arsa-e-hastī to hai ab tang ahl-e-dard par
aur kis din kaam ā.eñgī karam-arzāniyāñ
husn kī nazroñ kā markaz hai nigāh-e-shauq bhī
diid ke qābil haiñ zauq-e-dīd kī hairāniyāñ
kaisā jalva jab nazar hī dekhne vaalī na ho
'ishq ke dam se haiñ qaa.em husn kī tābāniyāñ
madd-o-jazr-e-bahr-e-hastī koī dam kī baat hai
dāman-e-sāhil meñ gum ho jā.eñgī tuġhyāniyāñ
hosh kho kar hosh meñ aane kī sūrat ho ga.ī
'aql kī ḳhush-fahmiyāñ sābit huiiñ nādāniyāñ
parde parde meñ 'ajab jaadū chalā taqdīr kā
mushkileñ bantī ga.iiñ tadbīr kī āsāniyāñ
ab shahīdān-e-vafā bhī haiñ vafā-nā-āshnā
nām-e-ulfat par huī hoñgī kabhī qurbāniyāñ
dur mujh se le gain mujh ko meri hairaniyan
aur le Dubin nazar ko did ki aasaniyan
yaad aata hai achanak jab koi rangin jamal
gulsitan-andaz hoti hain meri viraniyan
arsa-e-hasti to hai ab tang ahl-e-dard par
aur kis din kaam aaengi karam-arzaniyan
husn ki nazron ka markaz hai nigah-e-shauq bhi
did ke qabil hain zauq-e-did ki hairaniyan
kaisa jalwa jab nazar hi dekhne wali na ho
'ishq ke dam se hain qaem husn ki tabaniyan
madd-o-jazr-e-bahr-e-hasti koi dam ki baat hai
daman-e-sahil mein gum ho jaengi tughyaniyan
hosh kho kar hosh mein aane ki surat ho gai
'aql ki KHush-fahmiyan sabit huin nadaniyan
parde parde mein 'ajab jadu chala taqdir ka
mushkilen banti gain tadbir ki aasaniyan
ab shahidan-e-wafa bhi hain wafa-na-ashna
nam-e-ulfat par hui hongi kabhi qurbaniyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.