dur nazron se jo ho rahe hain abhi ek din wo nazare palaT aaenge
dur nazron se jo ho rahe hain abhi ek din wo nazare palaT aaenge
Shamshad shaad
MORE BYShamshad shaad
duur nazroñ se jo ho rahe haiñ abhī ek din vo nazāre palaT ā.eñge
ġham kā sailāb jis dam utar jā.egā saare TuuTe kināre palaT ā.eñge
chāhatoñ ne katar Daale haiñ in ke par ab na jā pā.eñge ye parinde kahīñ
pyaar ke motī juuñ hī luTā.egā tū ye mohabbat ke maare palaT ā.eñge
hājara sī agar hai tirī justujū mehrbāñ tujh pe sahrā bhī ho jā.egā
pyaas terī bujhāne ko ai tishna-lab mīThe paanī ke dhāre palaT ā.eñge
zindagānī kā mausam mire dosto ek jaisā hamesha to rahtā nahīñ
aa.e haiñ bin-bulā.e jo ranj-o-alam din ḳhushī ke bhī pyāre palaT ā.eñge
us ke rahm-o-karam par hai mujh ko yaqīñ merī duniyā bhī ik din vo chamkā.egā
nuur bikhregā dil kī zamīñ par zarūr āsmāñ par sitāre palaT ā.eñge
jo na firqa-parastī hasad dushmanī aur ta.assub ko jaḌ se miTāyā gayā
Dar hai jhulsāne ko āshtī kī fazā nafratoñ ke sharāre palaT ā.eñge
maiñ nahīñ jāntā maiñ kahāñ thā magar 'shād' sargoshiyāñ kar rahā thā koī
jā rahe haiñ falak se jo sū-e-zamīñ hashr ke din vo saare palaT ā.eñge
dur nazron se jo ho rahe hain abhi ek din wo nazare palaT aaenge
gham ka sailab jis dam utar jaega sare TuTe kinare palaT aaenge
chahaton ne katar Dale hain in ke par ab na ja paenge ye parinde kahin
pyar ke moti jun hi luTaega tu ye mohabbat ke mare palaT aaenge
hajara si agar hai teri justuju mehrban tujh pe sahra bhi ho jaega
pyas teri bujhane ko ai tishna-lab miThe pani ke dhaare palaT aaenge
zindagani ka mausam mere dosto ek jaisa hamesha to rahta nahin
aae hain bin-bulae jo ranj-o-alam din KHushi ke bhi pyare palaT aaenge
us ke rahm-o-karam par hai mujh ko yaqin meri duniya bhi ek din wo chamkaega
nur bikhrega dil ki zamin par zarur aasman par sitare palaT aaenge
jo na firqa-parasti hasad dushmani aur tassub ko jaD se miTaya gaya
Dar hai jhulsane ko aashti ki faza nafraton ke sharare palaT aaenge
main nahin jaanta main kahan tha magar 'shad' sargoshiyan kar raha tha koi
ja rahe hain falak se jo su-e-zamin hashr ke din wo sare palaT aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.