dur nikla hai ufuq par kahin tara koi
duur niklā hai ufuq par kahīñ taara koī
yaad aatā hai mujhe jaan se pyārā koī
ishq-e-nākām kā ilzām nasīboñ pe gayā
isī nisbat se koī jiitā na haarā koī
tum jise chāho use chāhe zamāna saarā
is se baḌh kar nahīñ hotā hai ḳhasāra koī
shahr kā shahr ta'āqub meñ nikal aayā hai
maiñ ne bastī pe kiyā thā jo ishāra koī
tum na samjhoge kabhī taaj kā miTTī honā
tum ne dekhā hī nahīñ vaqt kā maarā koī
rahguzar naam kī terī thī so tanhā kaaTī
ham ne āvāz lagā.ī na pukārā koī
dur nikla hai ufuq par kahin tara koi
yaad aata hai mujhe jaan se pyara koi
ishq-e-nakaam ka ilzam nasibon pe gaya
isi nisbat se koi jita na haara koi
tum jise chaho use chahe zamana sara
is se baDh kar nahin hota hai KHasara koi
shahr ka shahr ta'aqub mein nikal aaya hai
main ne basti pe kiya tha jo ishaara koi
tum na samjhoge kabhi taj ka miTTi hona
tum ne dekha hi nahin waqt ka mara koi
rahguzar nam ki teri thi so tanha kaTi
hum ne aawaz lagai na pukara koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.