dur rah kar bhi pas hain kuchh log
duur rah kar bhī paas haiñ kuchh log
dil kī miTTī pe ghaas haiñ kuchh log
band haiñ zehn ke varaq phir bhī
fikr ke iqtibās haiñ kuchh log
ulTī tasvīr se ḳhulāsa huā
jhiil ke ās-pās haiñ kuchh log
oḌh kar ḳhud pe diin kī chādar
aaj bhī be-libās haiñ kuchh log
khokhlī rasm se jo lipTe haiñ
bas vahī bad-havās haiñ kuchh log
chhāpte haiñ kitāb-e-'ilm vahī
'ilm se nā-shanās haiñ kuchh log
aaj 'shārib' mirī taraqqī meñ
mere apne udaas haiñ kuchh log
dur rah kar bhi pas hain kuchh log
dil ki miTTi pe ghas hain kuchh log
band hain zehn ke waraq phir bhi
fikr ke iqtibas hain kuchh log
ulTi taswir se KHulasa hua
jhil ke aas-pas hain kuchh log
oDh kar KHud pe din ki chadar
aaj bhi be-libas hain kuchh log
khokhli rasm se jo lipTe hain
bas wahi bad-hawas hain kuchh log
chhapte hain kitab-e-'ilm wahi
'ilm se na-shanas hain kuchh log
aaj 'shaarib' meri taraqqi mein
mere apne udas hain kuchh log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.