dur rahta tha magar mujh pe nazar rakhta tha
duur rahtā thā magar mujh pe nazar rakhtā thā
jaane vo kaun thā jo merī ḳhabar rakhtā thā
duur tak dā.ere rangoñ ke bikhar jaate the
pyaar se jab vo mire kāñdhe pe sar rakhtā thā
shaam ke sāyoñ ke baḌhte hī vo hasb-e-mā’mūl
roz ik sham' sar-e-rāhguzar rakhtā thā
apne kirdār ko parkhā na kabhī bhī us ne
vo to din raat faqat mujh pe nazar rakhtā thā
likh kar ik naam miTā detā thā fauran vo 'salīm'
zer-e-lab naam vo ik āThoñ pahar rakhtā thā
dur rahta tha magar mujh pe nazar rakhta tha
jaane wo kaun tha jo meri KHabar rakhta tha
dur tak daere rangon ke bikhar jate the
pyar se jab wo mere kandhe pe sar rakhta tha
sham ke sayon ke baDhte hi wo hasb-e-ma’mul
roz ek sham' sar-e-rahguzar rakhta tha
apne kirdar ko parkha na kabhi bhi us ne
wo to din raat faqat mujh pe nazar rakhta tha
likh kar ek nam miTa deta tha fauran wo 'salim'
zer-e-lab nam wo ek aaThon pahar rakhta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.