dur rahte hue nazdik-e-rag-e-jaan bhi rahe
duur rahte hue nazdīk-e-rag-e-jāñ bhī rahe
dushman-e-dil bhī rahe dil ke nigahbāñ bhī rahe
Duub jaate haiñ kināre bhī kabhī maujoñ se
ahl-e-sāhil zarā andāza-e-tūfāñ bhī rahe
un kā andāz-e-mohabbat bhī nirālā dekhā
mujh meñ shāmil bhī rahe mujh se gurezāñ bhī rahe
maiñ tire qurb kā vo daur bhulā.ūñ kaise
tere gesū mire shānoñ pe pareshāñ bhī rahe
jis pe logoñ ko farishtoñ kā gumāñ ho jaa.e
kaash is daur meñ aisā koī insāñ bhī rahe
ham ko manzūr nahīñ thī jo numā.ish apnī
bazm meñ misl-e-charāġh-e-tah-e-dāmāñ bhī rahe
ġham-e-jānāñ kā ta.alluq to hai dil se lekin
ham vahī haiñ jo harīf-e-ġham-e-daurāñ bhī rahe
dīda-e-dil se mohabbat kā taqāzā hai yahī
tishna-e-dīd rahe diid kā armāñ bhī rahe
aaj dāman meñ bas ik daulat-e-ġham hai 'ārif'
un kī ulfat meñ kabhī be-sar-o-sāmāñ bhī rahe
dur rahte hue nazdik-e-rag-e-jaan bhi rahe
dushman-e-dil bhi rahe dil ke nigahban bhi rahe
Dub jate hain kinare bhi kabhi maujon se
ahl-e-sahil zara andaza-e-tufan bhi rahe
un ka andaz-e-mohabbat bhi nirala dekha
mujh mein shamil bhi rahe mujh se gurezan bhi rahe
main tere qurb ka wo daur bhulaun kaise
tere gesu mere shanon pe pareshan bhi rahe
jis pe logon ko farishton ka guman ho jae
kash is daur mein aisa koi insan bhi rahe
hum ko manzur nahin thi jo numaish apni
bazm mein misl-e-charagh-e-tah-e-daman bhi rahe
gham-e-jaanan ka talluq to hai dil se lekin
hum wahi hain jo harif-e-gham-e-dauran bhi rahe
dida-e-dil se mohabbat ka taqaza hai yahi
tishna-e-did rahe did ka arman bhi rahe
aaj daman mein bas ek daulat-e-gham hai 'arif'
un ki ulfat mein kabhi be-sar-o-saman bhi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.