dur se hum ko laga tha be-zaban aab-e-rawan
duur se ham ko lagā thā be-zabāñ āb-e-ravāñ
agle hī pal thā sadāoñ kā jahāñ āb-e-ravāñ
ik suhānī shaam ke rañgoñ ke ghere meñ kahīñ
maiñ mirī tanhā.ī yād-e-raftagāñ āb-e-ravāñ
shāḳh se phūloñ ko khīñchā un ke apne aks ne
jaane ab le jā.egā un ko kahāñ āb-e-ravāñ
maiñ bhī raahī huuñ mujhe apne safar kā raaz de
kis kī ḳhātir ye talāsh-e-jāvidāñ āb-e-ravāñ
ai safar kī rau mujhe dam-bhar kī fursat chāhiye
ek lamhe ke liye ruk jā yahāñ āb-e-ravāñ
dur se hum ko laga tha be-zaban aab-e-rawan
agle hi pal tha sadaon ka jahan aab-e-rawan
ek suhani sham ke rangon ke ghere mein kahin
main meri tanhai yaad-e-raftagan aab-e-rawan
shaKH se phulon ko khincha un ke apne aks ne
jaane ab le jaega un ko kahan aab-e-rawan
main bhi rahi hun mujhe apne safar ka raaz de
kis ki KHatir ye talash-e-jawidan aab-e-rawan
ai safar ki rau mujhe dam-bhar ki fursat chahiye
ek lamhe ke liye ruk ja yahan aab-e-rawan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.