dur se sab ko ye lagta hai sawera hai yahan
dur se sab ko ye lagta hai sawera hai yahan
Abdullah Minhaj Khan
MORE BYAbdullah Minhaj Khan
duur se sab ko ye lagtā hai saverā hai yahāñ
koī aa.e to vo dekhe ki añdherā hai yahāñ
ġham to ye hai ki vahī shaḳhs nahīñ aatā hai
jis kī guzrī huī rātoñ kā baserā hai yahāñ
duur tak kaalī ghaTāoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
us ne zulfoñ ko kuchh is tarh bikherā hai yahāñ
ye mirā shahr taraqqī meñ yuñhī pīchhe nahīñ
jo hai mansab pe vo har shaḳhs luTerā hai yahāñ
ham palaTnā bhī agar chāheñ to palTeñ kaise
ham ko har moḌ pe hālāt ne gherā hai yahāñ
ġhair to ġhair hai ġhairoñ kī koī baat nahīñ
kaam vo bhī nahīñ aatā hai jo merā hai yahāñ
koī bach jaa.e ye mumkin hī nahīñ hai 'minhāj'
saañp paale hue har ghar meñ saperā hai yahāñ
dur se sab ko ye lagta hai sawera hai yahan
koi aae to wo dekhe ki andhera hai yahan
gham to ye hai ki wahi shaKHs nahin aata hai
jis ki guzri hui raaton ka basera hai yahan
dur tak kali ghaTaon ke siwa kuchh bhi nahin
us ne zulfon ko kuchh is tarh bikhera hai yahan
ye mera shahr taraqqi mein yunhi pichhe nahin
jo hai mansab pe wo har shaKHs luTera hai yahan
hum palaTna bhi agar chahen to palTen kaise
hum ko har moD pe haalat ne ghera hai yahan
ghair to ghair hai ghairon ki koi baat nahin
kaam wo bhi nahin aata hai jo mera hai yahan
koi bach jae ye mumkin hi nahin hai 'minhaj'
sanp pale hue har ghar mein sapera hai yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.