dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile
duur tak bas ḳhuun ke Thahre hue dariyā mile
muddatoñ jaagī huī āñkhoñ ko dekhā ro paḌe
ehtirāman zindagī ko muñh lagānā hī paḌā
varna ham aur zindagī kā zahr tauba kījiye
apne kāñdhoñ par liye apnī ka.ī shaḳhsiyyateñ
raat bhar āñkhoñ ke jañgal meñ bhaTakte hī rahe
chīḳhte chillāte andeshoñ kī āñkheñ surḳh haiñ
jism kī nā-puḳhta saḌkoñ se guzarnā chhoḌiye
ḳhuun ke dhabboñ kī sachchā.ī Darātī hī rahī
apne baare meñ kabhī sochā to ghabrāne lage
TuuTe phūTe kaale shabdoñ ke bhare bāzār meñ
is qadar ḳhud ko ghumāyā hai ki kaale paḌ ga.e
dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile
muddaton jagi hui aankhon ko dekha ro paDe
ehtiraman zindagi ko munh lagana hi paDa
warna hum aur zindagi ka zahr tauba kijiye
apne kandhon par liye apni kai shaKHsiyyaten
raat bhar aankhon ke jangal mein bhaTakte hi rahe
chiKHte chillate andeshon ki aankhen surKH hain
jism ki na-puKHta saDkon se guzarna chhoDiye
KHun ke dhabbon ki sachchai Daraati hi rahi
apne bare mein kabhi socha to ghabrane lage
TuTe phuTe kale shabdon ke bhare bazar mein
is qadar KHud ko ghumaya hai ki kale paD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.