dur tak jab dida-e-namnak dekhe jaenge
duur tak jab dīda-e-namnāk dekhe jā.eñge
shahr ke sab zālim-o-saffāk dekhe jā.eñge
bolne par jab yahāñ pābandiyāñ lag jā.eñgī
aise aalam meñ bhī ham be-bāk dekhe jā.eñge
jab barahna nasl-e-nau puurī tarah ho jā.egī
ham to tab bhī sāhib-e-poshāk dekhe jā.eñge
jab mahāz-e-ishq se aa.egī āvāz-e-vafā
sab se aage ham garebāñ-chāk dekhe jā.eñge
husn ke dariyā kī tah se siip laane ke liye
phir mire jaise na.e tairāk dekhe jā.eñge
kyā guzar ham jaise nā-fahmoñ kā un kī bazm meñ
jalva-farmā sāhib-e-idrāk dekhe jā.eñge
dur tak jab dida-e-namnak dekhe jaenge
shahr ke sab zalim-o-saffak dekhe jaenge
bolne par jab yahan pabandiyan lag jaengi
aise aalam mein bhi hum be-bak dekhe jaenge
jab barahna nasl-e-nau puri tarah ho jaegi
hum to tab bhi sahib-e-poshak dekhe jaenge
jab mahaz-e-ishq se aaegi aawaz-e-wafa
sab se aage hum gareban-chaak dekhe jaenge
husn ke dariya ki tah se sip lane ke liye
phir mere jaise nae tairak dekhe jaenge
kya guzar hum jaise na-fahmon ka un ki bazm mein
jalwa-farma sahib-e-idrak dekhe jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.