dur tak nigahon mein husn muskuraata hai
duur tak nigāhoñ meñ husn muskurātā hai
vo idhar se guzre haiñ rāsta batātā hai
āñsuoñ pe rah rah kar qahqahe lagātā hai
yuuñ bhī terā dīvāna nāz-e-ġham uThātā hai
jab tū merā manzil tak saath de nahīñ saktā
pattharoñ ko kyoñ merī raah se haTātā hai
sochnā abhī kaisā 'ishq ke samundar meñ
kaun paar hotā hai kaun duub jaatā hai
ġham to ġham ḳhushī se bhī vāsta nahīñ rahtā
ik maqām aisā bhī zindagī meñ aatā hai
hañs rahā hai ik 'ālam tere ġham ke māroñ par
vaqt dekhiye ab kyā faisla sunātā hai
dur tak nigahon mein husn muskuraata hai
wo idhar se guzre hain rasta batata hai
aansuon pe rah rah kar qahqahe lagata hai
yun bhi tera diwana naz-e-gham uThata hai
jab tu mera manzil tak sath de nahin sakta
pattharon ko kyon meri rah se haTata hai
sochna abhi kaisa 'ishq ke samundar mein
kaun par hota hai kaun dub jata hai
gham to gham KHushi se bhi wasta nahin rahta
ek maqam aisa bhi zindagi mein aata hai
hans raha hai ek 'alam tere gham ke maron par
waqt dekhiye ab kya faisla sunata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.