dur tak sailab hi sailab hai
duur tak sailāb hī sailāb hai
aur koī is qadar be-āb hai
maut ik zinda haqīqat hai huzūr
zindagī insān kī ik ḳhvāb hai
shān-e-mahfil kah rahe haiñ us ko log
vo ki jo nā-vāqif-e-ādāb hai
kar gayā behad taraqqī aadmī
dekhiye zer-e-qadam mahtāb hai
sahmī sahmī hai fazā sangīt kī
saaz se rūThā huā mizrāb hai
is kā andāza nahīñ hai aap ko
kis qadar qalb-e-'hasan' betāb hai
dur tak sailab hi sailab hai
aur koi is qadar be-ab hai
maut ek zinda haqiqat hai huzur
zindagi insan ki ek KHwab hai
shan-e-mahfil kah rahe hain us ko log
wo ki jo na-waqif-e-adab hai
kar gaya behad taraqqi aadmi
dekhiye zer-e-qadam mahtab hai
sahmi sahmi hai faza sangit ki
saz se ruTha hua mizrab hai
is ka andaza nahin hai aap ko
kis qadar qalb-e-'hasan' betab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.