duriyan hi duriyan hain qurbaton ke bawajud
dūriyāñ hī dūriyāñ haiñ qurbatoñ ke bāvajūd
ajnabī haiñ sab qarībī nisbatoñ ke bāvajūd
rañg-o-bū se jaan to kāġhaz meñ paḌ saktī nahīñ
kāġhzī gul kāġhzī haiñ nik.hatoñ ke bāvajūd
saḳhtī-e-sahrā-navardī hī masarrat-baḳhsh hai
dil nahīñ lagtā qafas meñ rāhatoñ ke bāvajūd
be-hisī be-ġhairatī bhī juzv-e-fitrat ban ga.ī
hañs rahā huuñ anjuman meñ zillatoñ ke bāvajūd
kar diyā badnām yūsuf se farishte ko magar
pāk-dāman hai zuleḳhā tohmatoñ ke bāvajūd
khol kar baiThā huuñ maiñ ab bhī mohabbat kī dukān
nafratoñ ke fā.ede kī san.atoñ ke bāvajūd
barq se Dar ke nasheman se na uḌ kar jā.iye
baiThe rahiye shāḳh-e-gul par dahshatoñ ke bāvajūd
zehn meñ barpā hai 'kausar' mahsharistān-e-ḳhayāl
kab hai tanhā.ī mayassar ḳhalvatoñ ke bāvajūd
duriyan hi duriyan hain qurbaton ke bawajud
ajnabi hain sab qaribi nisbaton ke bawajud
rang-o-bu se jaan to kaghaz mein paD sakti nahin
kaghzi gul kaghzi hain nikhaton ke bawajud
saKHti-e-sahra-nawardi hi masarrat-baKHsh hai
dil nahin lagta qafas mein rahaton ke bawajud
be-hisi be-ghairati bhi juzw-e-fitrat ban gai
hans raha hun anjuman mein zillaton ke bawajud
kar diya badnam yusuf se farishte ko magar
pak-daman hai zuleKHa tohmaton ke bawajud
khol kar baiTha hun main ab bhi mohabbat ki dukan
nafraton ke faede ki sanaton ke bawajud
barq se Dar ke nasheman se na uD kar jaiye
baiThe rahiye shaKH-e-gul par dahshaton ke bawajud
zehn mein barpa hai 'kausar' mahsharistan-e-KHayal
kab hai tanhai mayassar KHalwaton ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.