dusra taj-mahal koi nahin
dūsrā tāj-mahal koī nahīñ
haa.e is dil kā badal koī nahīñ
terī tanhā.ī kā hal koī nahīñ
ai mire dil na machal koī nahīñ
phuul bulbul ko to gul ko shabnam
aur mire ġham kā badal koī nahīñ
ahd-e-māzī ke fasānoñ ke sivā
ab yahāñ taaza ġhazal koī nahīñ
ek se ek hasīñ phuul khile
tere hoñToñ kā badal koī nahīñ
zindagī hai vo muamma jis kā
laakh ishāre haiñ hal koī nahīñ
phuul haiñ sehn-e-chaman meñ to yahāñ
aaj sab log haiñ kal koī nahīñ
aaj kī raat judā.ī hai 'ayāz'
aaj kī raat ġhazal koī nahīñ
dusra taj-mahal koi nahin
hae is dil ka badal koi nahin
teri tanhai ka hal koi nahin
ai mere dil na machal koi nahin
phul bulbul ko to gul ko shabnam
aur mere gham ka badal koi nahin
ahd-e-mazi ke fasanon ke siwa
ab yahan taza ghazal koi nahin
ek se ek hasin phul khile
tere honTon ka badal koi nahin
zindagi hai wo muamma jis ka
lakh ishaare hain hal koi nahin
phul hain sehn-e-chaman mein to yahan
aaj sab log hain kal koi nahin
aaj ki raat judai hai 'ayaz'
aaj ki raat ghazal koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.