duzdida nigahon ka asar dekh liya hai
duzdīda nigāhoñ kā asar dekh liyā hai
baḌhtā huā kuchh dard-e-jigar dekh liyā hai
ik aag sī har vaqt lagī rahtī hai dil meñ
maiñ ne ye mohabbat kā asar dekh liyā hai
ab mehrbāñ koī na rahā merā jahāñ meñ
kal yaar ko aġhyār ke ghar dekh liyā hai
kyoñ sahmā huā hai tū batā ai dil-e-nādāñ
kyā chaltā huā tīr-e-nazar dekh liyā hai
dil merā nahīñ lagtā kisī aur jahāñ meñ
jis roz se aakar tirā dar dekh liyā hai
āñkhoñ se to maiñ un ko nahīñ dekh sakā huuñ
ik roz tasavvur meñ magar dekh liyā hai
dekhūñgā 'samī.a' kyā vo kisī or jahāñ meñ
maiñ ne jo yahāñ shām-o-sahar dekh liyā hai
duzdida nigahon ka asar dekh liya hai
baDhta hua kuchh dard-e-jigar dekh liya hai
ek aag si har waqt lagi rahti hai dil mein
main ne ye mohabbat ka asar dekh liya hai
ab mehrban koi na raha mera jahan mein
kal yar ko aghyar ke ghar dekh liya hai
kyon sahma hua hai tu bata ai dil-e-nadan
kya chalta hua tir-e-nazar dekh liya hai
dil mera nahin lagta kisi aur jahan mein
jis roz se aakar tera dar dekh liya hai
aankhon se to main un ko nahin dekh saka hun
ek roz tasawwur mein magar dekh liya hai
dekhunga 'samia' kya wo kisi or jahan mein
main ne jo yahan sham-o-sahar dekh liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.