etibar-e-wada-e-zahmat ki nadani gai
e'tibār-e-vā'da-e-zahmat kī nādānī ga.ī
aaj tak jo dil meñ thī vo kufr-sāmānī ga.ī
vaqt ke hamrāh apnī kaif-sāmānī ga.ī
dekhte hī dekhte āsā.ish arzānī ga.ī
husn-e-be-parvā ko in bātoñ se dilchaspī nahīñ
kaun pūchhe dar-ba-dar kī ḳhaak kyoñ chhānī ga.ī
aadmī badnām thā lekin guloñ kī ye ravish
ham samajhte the ki rasm-e-chāk-dāmānī ga.ī
dosto pahchān kī nazreñ hī shāyad bujh ga.iiñ
āshnā-sūrat bhī jab tum se na pahchānī ga.ī
ab to maiñ huuñ aur apnā ehtisāb-o-jā.eza
har kitāb-e-zīst kī aurāq-gardānī ga.ī
sa'y-e-zabt-e-ġham ke tum ho ik nishān-e-mo'atabar
sirf itnī baat par chehre kī vīrānī ga.ī
dīdanī hai sehr-kārī-e-harīm-e-kāfirī
kaise kaise pārsā kī pāk-dāmānī ga.ī
kyā samajh kar tum pashemān-e-shikast-e-'ahd ho
shukr hai taklīf-e-ehsās-e-pareshānī ga.ī
ai nigāh-e-iltifāt-e-dost ye kyā ho gayā
jo mire she'roñ meñ thī vo sho'la-sāmānī ga.ī
aaj tak to arz-e-ġham par zabt ke pahre rahe
kis kamī se us tavajjoh kī farāvānī ga.ī
mere gird-o-pesh thā saut-o-sadā kā ik hujūm
is fazā meñ bhī mirī āvāz pahchānī ga.ī
dhuup meñ to ham the lekin qismat-e-ahl-e-duval
jis jagah hājat na thī chādar vahāñ taanī ga.ī
ai 'urūj' ab 'aam hai shikva 'adam-tarsīl kā
'mīr'-o-'momin' ke zamāne kī ġhazal-ḳhvānī ga.ī
e'tibar-e-wa'da-e-zahmat ki nadani gai
aaj tak jo dil mein thi wo kufr-samani gai
waqt ke hamrah apni kaif-samani gai
dekhte hi dekhte aasaish arzani gai
husn-e-be-parwa ko in baaton se dilchaspi nahin
kaun puchhe dar-ba-dar ki KHak kyon chhani gai
aadmi badnam tha lekin gulon ki ye rawish
hum samajhte the ki rasm-e-chaak-damani gai
dosto pahchan ki nazren hi shayad bujh gain
aashna-surat bhi jab tum se na pahchani gai
ab to main hun aur apna ehtisab-o-jaeza
har kitab-e-zist ki auraq-gardani gai
sa'y-e-zabt-e-gham ke tum ho ek nishan-e-mo'atabar
sirf itni baat par chehre ki virani gai
didani hai sehr-kari-e-harim-e-kafiri
kaise kaise parsa ki pak-damani gai
kya samajh kar tum pasheman-e-shikast-e-'ahd ho
shukr hai taklif-e-ehsas-e-pareshani gai
ai nigah-e-iltifat-e-dost ye kya ho gaya
jo mere she'ron mein thi wo sho'la-samani gai
aaj tak to arz-e-gham par zabt ke pahre rahe
kis kami se us tawajjoh ki farawani gai
mere gird-o-pesh tha saut-o-sada ka ek hujum
is faza mein bhi meri aawaz pahchani gai
dhup mein to hum the lekin qismat-e-ahl-e-duwal
jis jagah hajat na thi chadar wahan tani gai
ai 'uruj' ab 'am hai shikwa 'adam-tarsil ka
'mir'-o-'momin' ke zamane ki ghazal-KHwani gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.