etimad-e-ishq ko kyon raegan samjha tha main
e'timād-e-ishq ko kyoñ rā.egāñ samjhā thā maiñ
un ke jalve bhī vahīñ nikle jahāñ samjhā thā maiñ
ek pasandīda giraftārī thī āzādī na thī
ek qafas thā vo bhī jis ko āshiyāñ samjhā thā maiñ
kis qadar ta.ane diye haiñ himmat-e-parvāz ne
sochtā huuñ kyoñ qafas ko āshiyāñ samjhā thā maiñ
ai ma.āz-allāh mafhūm-e-vafā kī vus.ateñ
zindagī ko muḳhtasar sī dāstāñ samjhā thā maiñ
kis qadar marġhūb thā dil ko muqaddar kā fareb
ek parda thā jahāñ sab kuchh nihāñ samjhā thā maiñ
bāvajūd-e-gumrahī allāh-re josh-e-talāsh
manziloñ ko bhī ġhubār-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
kyā ḳhabar 'shādāñ' ye ġham bhī jāvedāñ hai yā nahīñ
aish ko bhī yuuñ hī kuchh din jāvedāñ samjhā thā maiñ
e'timad-e-ishq ko kyon raegan samjha tha main
un ke jalwe bhi wahin nikle jahan samjha tha main
ek pasandida giraftari thi aazadi na thi
ek qafas tha wo bhi jis ko aashiyan samjha tha main
kis qadar tane diye hain himmat-e-parwaz ne
sochta hun kyon qafas ko aashiyan samjha tha main
ai maaz-allah mafhum-e-wafa ki wusaten
zindagi ko muKHtasar si dastan samjha tha main
kis qadar marghub tha dil ko muqaddar ka fareb
ek parda tha jahan sab kuchh nihan samjha tha main
bawajud-e-gumrahi allah-re josh-e-talash
manzilon ko bhi ghubar-e-karwan samjha tha main
kya KHabar 'shadan' ye gham bhi jawedan hai ya nahin
aish ko bhi yun hi kuchh din jawedan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.