ehsan ek mujh pe ye kar jaana chahiye
ehsān ek mujh pe ye kar jaanā chāhiye
un ko mohabbatoñ se mukar jaanā chāhiye
āshiq koī sitam ye bhalā kab talak sahe
zulfoñ ko ḳhud-baḳhud hī sañvar jaanā chāhiye
dekho zamāna pahle se kitnā badal gayā
ab zāhido tumheñ bhī sudhar jaanā chāhiye
lashkar tamām madd-e-muqābil meñ ek ke
dushman ko mere sharm se mar jaanā chāhiye
hijrat sahī nahīñ hai agar hākim-e-vatan
be-ghar ko phir batā ki kidhar jaanā chāhiye
āḳhir mujhe bhī hone lagā jaan kā ḳhayāl
shīrāza saarā merā bikhar jaanā chāhiye
ehsan ek mujh pe ye kar jaana chahiye
un ko mohabbaton se mukar jaana chahiye
aashiq koi sitam ye bhala kab talak sahe
zulfon ko KHud-baKHud hi sanwar jaana chahiye
dekho zamana pahle se kitna badal gaya
ab zahido tumhein bhi sudhar jaana chahiye
lashkar tamam madd-e-muqabil mein ek ke
dushman ko mere sharm se mar jaana chahiye
hijrat sahi nahin hai agar hakim-e-watan
be-ghar ko phir bata ki kidhar jaana chahiye
aaKHir mujhe bhi hone laga jaan ka KHayal
shiraaza sara mera bikhar jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.