ehsan hai go tera sitam uTh nahin sakta
ehsān hai go terā sitam uTh nahīñ saktā
ḳhud.dār se ye bār-e-karam uTh nahīñ saktā
ḳhud but ke pujārī na samajh paa.e haqīqat
tum se ye hijāb ahl-e-haram uTh nahīñ saktā
ab but haiñ haram meñ na tajallī-e-butāñ hai
ka.abe kī taraf merā qadam uTh nahīñ saktā
jis dard pe nāzāñ haiñ shahīdān-e-mohabbat
vo dil meñ kabhī tere sanam uTh nahīñ saktā
huuñ rāhat-o-ārām se imdād kā tālib
ab dil se mire bār-e-alam uTh nahīñ saktā
e.azāz ye hāsil hai faqat ahl-e-qalam ko
har ek se hāthoñ meñ qalam uTh nahīñ saktā
ehsan hai go tera sitam uTh nahin sakta
KHuddar se ye bar-e-karam uTh nahin sakta
KHud but ke pujari na samajh pae haqiqat
tum se ye hijab ahl-e-haram uTh nahin sakta
ab but hain haram mein na tajalli-e-butan hai
kabe ki taraf mera qadam uTh nahin sakta
jis dard pe nazan hain shahidan-e-mohabbat
wo dil mein kabhi tere sanam uTh nahin sakta
hun rahat-o-aram se imdad ka talib
ab dil se mere bar-e-alam uTh nahin sakta
eazaz ye hasil hai faqat ahl-e-qalam ko
har ek se hathon mein qalam uTh nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.