ehsas-e-ishq dil ki panahon mein aa gaya
ehsas-e-ishq dil ki panahon mein aa gaya
Abdul Hafeez Sahil Qadri
MORE BYAbdul Hafeez Sahil Qadri
ehsās-e-ishq dil kī panāhoñ meñ aa gayā
bādal simaT ke chāñd kī bāhoñ meñ aa gayā
iz.hār-e-ishq maiñ ne kisī se nahīñ kiyā
aur be-sabab jahāñ kī nigāhoñ meñ aa gayā
vo muskurā ke dekh rahe haiñ mirī taraf
itnā asar to ab mirī aahoñ meñ aa gayā
kyā pūchhte ho azm-e-safar kī karāmateñ
manzil kā naqsh ḳhud mirī rāhoñ meñ aa gayā
haiñ ibtidā.ī marhale ye ishq ke abhī
'sāhil' ye soz kyuuñ tirī aahoñ meñ aa gayā
ehsas-e-ishq dil ki panahon mein aa gaya
baadal simaT ke chand ki bahon mein aa gaya
izhaar-e-ishq main ne kisi se nahin kiya
aur be-sabab jahan ki nigahon mein aa gaya
wo muskura ke dekh rahe hain meri taraf
itna asar to ab meri aahon mein aa gaya
kya puchhte ho azm-e-safar ki karamaten
manzil ka naqsh KHud meri rahon mein aa gaya
hain ibtidai marhale ye ishq ke abhi
'sahil' ye soz kyun teri aahon mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.