ehsas se aari hain wo andar se ziyaada
ehsās se 'aarī haiñ vo andar se ziyāda
ahbāb mire saḳht haiñ patthar se ziyāda
tanhā sā paḌā rahtā huuñ maiñ kunj-e-makāñ meñ
ik shor sā barpā hai samundar se ziyāda
kuchh yādoñ ke saa.e mujhe jiine nahīñ dete
zaḳhmī huuñ maiñ alfāz ke ḳhanjar se ziyāda
niklūñ maiñ kahāñ par ki shanāsā nahīñ koī
vīrān hai ye shahr mire ghar se ziyāda
raste mire gum-gashta haiñ manzil bhī huī gum
chaltā huuñ baḌā tez maiñ rahbar se ziyāda
hai faḳhr ki huuñ shāh-e-madīna kā maiñ ḳhādim
hai kaun mirā shāfe'-e-mahshar se ziyāda
hairat hai ki bāzār meñ kis chiiz ko bechūñ
dastār ke bhaao haiñ mire sar se ziyāda
koshish jo huī ham se vo ham ne bhī kī 'barham'
miltā hī nahīñ rizq muqaddar se ziyāda
ehsas se 'ari hain wo andar se ziyaada
ahbab mere saKHt hain patthar se ziyaada
tanha sa paDa rahta hun main kunj-e-makan mein
ek shor sa barpa hai samundar se ziyaada
kuchh yaadon ke sae mujhe jine nahin dete
zaKHmi hun main alfaz ke KHanjar se ziyaada
niklun main kahan par ki shanasa nahin koi
viran hai ye shahr mere ghar se ziyaada
raste mere gum-gashta hain manzil bhi hui gum
chalta hun baDa tez main rahbar se ziyaada
hai faKHr ki hun shah-e-madina ka main KHadim
hai kaun mera shafe'-e-mahshar se ziyaada
hairat hai ki bazar mein kis chiz ko bechun
dastar ke bhao hain mere sar se ziyaada
koshish jo hui hum se wo hum ne bhi ki 'barham'
milta hi nahin rizq muqaddar se ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.