ehsas to mujhi pe kar rahi hai
ehsās to mujhī pe kar rahī hai
chhūkar jo havā guzar rahī hai
jis ne mujhe shāḳh par na chāhā
ḳhushbū mirī us ke ghar rahī hai
be-samtī-e-ashk kī nadāmat
is baar bhī ham-safar rahī hai
Thahrā hai vo jab se rahguzar meñ
miTTī mirī raqs kar rahī hai
chupke se ghaḌī ghaḌī musāfirat kī
dahlīz pe paañv dhar rahī hai
taare bhī nazar na aa.eñ ghar meñ
aañkh aisī ghaḌī se Dar rahī hai
TuuTā huā aks le ke laḌkī
ā.īne meñ phir sañvar rahī hai
ehsas to mujhi pe kar rahi hai
chhukar jo hawa guzar rahi hai
jis ne mujhe shaKH par na chaha
KHushbu meri us ke ghar rahi hai
be-samti-e-ashk ki nadamat
is bar bhi ham-safar rahi hai
Thahra hai wo jab se rahguzar mein
miTTi meri raqs kar rahi hai
chupke se ghaDi ghaDi musafirat ki
dahliz pe panw dhar rahi hai
tare bhi nazar na aaen ghar mein
aankh aisi ghaDi se Dar rahi hai
TuTa hua aks le ke laDki
aaine mein phir sanwar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.