ehtiram-e-lab-o-ruKHsar tak aa pahunche hain
ehtirām-e-lab-o-ruḳhsār tak aa pahuñche haiñ
bul-havas bhī mire me.aar tak aa pahuñche haiñ
jo haqā.eq the vo ashkoñ se ham-āġhosh hue
jo fasāne the vo sarkār tak aa pahuñche haiñ
kyā vo nazroñ ko jharoke meñ muallaq kar deñ
jo tire sāya-e-dīvār tak aa pahuñche haiñ
apnī taqdīr ko rote raheñ sāhil vaale
jin ko aanā thā vo mañjdhār tak aa pahuñche haiñ
ab to khul jā.egā shāyad tirī ulfat kā bharam
ahl-e-dil jur.at-e-iz.hār tak aa pahuñche haiñ
ek tum ho ki ḳhudā ban ke chhupe baiThe ho
ek ham haiñ ki lab-e-dār tak aa pahuñche haiñ
ehtiram-e-lab-o-ruKHsar tak aa pahunche hain
bul-hawas bhi mere mear tak aa pahunche hain
jo haqaeq the wo ashkon se ham-aghosh hue
jo fasane the wo sarkar tak aa pahunche hain
kya wo nazron ko jharoke mein muallaq kar den
jo tere saya-e-diwar tak aa pahunche hain
apni taqdir ko rote rahen sahil wale
jin ko aana tha wo manjdhaar tak aa pahunche hain
ab to khul jaega shayad teri ulfat ka bharam
ahl-e-dil jurat-e-izhaar tak aa pahunche hain
ek tum ho ki KHuda ban ke chhupe baiThe ho
ek hum hain ki lab-e-dar tak aa pahunche hain
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 58)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.