ehtiyatan use chhua nahin hai
ehtiyātan use chhuā nahīñ hai
aadmī hai koī ḳhudā nahīñ hai
dasht meñ aate jaate rahte haiñ
ye hamāre liye nayā nahīñ hai
tum samajhte ho nāḳhudā ḳhud ko
tum pe dariyā abhī khulā nahīñ hai
jis kā hal sochne meñ vaqt lage
vo mohabbat hai mas.ala nahīñ hai
baaġh par sher kahne vāloñ kā
ek misra.a harā-bharā nahīñ hai
ret hī ret hai tah-e-dariyā
ya.anī sahrā abhī mirā nahīñ hai
aao chalte haiñ ab ḳhalā kī taraf
sun rahe haiñ vahāñ ḳhalā nahīñ hai
ehtiyatan use chhua nahin hai
aadmi hai koi KHuda nahin hai
dasht mein aate jate rahte hain
ye hamare liye naya nahin hai
tum samajhte ho naKHuda KHud ko
tum pe dariya abhi khula nahin hai
jis ka hal sochne mein waqt lage
wo mohabbat hai masala nahin hai
bagh par sher kahne walon ka
ek misra hara-bhara nahin hai
ret hi ret hai tah-e-dariya
yani sahra abhi mera nahin hai
aao chalte hain ab KHala ki taraf
sun rahe hain wahan KHala nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.