Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aansu gira sochte sochte

Naqsh Layalpuri

ek aansu gira sochte sochte

Naqsh Layalpuri

MORE BYNaqsh Layalpuri

    ek aañsū girā sochte sochte

    yaad kyā aa gayā sochte sochte

    kaun thā kyā thā vo yaad aatā nahīñ

    yaad aa jā.egā sochte sochte

    jaise tasvīr laTkī ho dīvār se

    haal ye ho gayā sochte sochte

    sochne ke liye koī rasta nahīñ

    maiñ kahāñ aa gayā sochte sochte

    maiñ bhī rasman ta.alluq nibhātā rahā

    vo bhī aksar milā sochte sochte

    faisle ke liye ek pal thā bahut

    ek mausam gayā sochte sochte

    'naqsh' ko fikr rāteñ jagātī rahīñ

    aaj vo so gayā sochte sochte

    ek aansu gira sochte sochte

    yaad kya aa gaya sochte sochte

    kaun tha kya tha wo yaad aata nahin

    yaad aa jaega sochte sochte

    jaise taswir laTki ho diwar se

    haal ye ho gaya sochte sochte

    sochne ke liye koi rasta nahin

    main kahan aa gaya sochte sochte

    main bhi rasman talluq nibhata raha

    wo bhi aksar mila sochte sochte

    faisle ke liye ek pal tha bahut

    ek mausam gaya sochte sochte

    'naqsh' ko fikr raaten jagati rahin

    aaj wo so gaya sochte sochte

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Pooja Gaitonde

    Pooja Gaitonde

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now