ek an-dekha sa sahra daera-dar-daera
ek an-dekhā sā sahrā dā.era-dar-dā.era
aur maiñ sadiyoñ kā pyāsā dā.era-dar-dā.era
dil meñ ik biite hue mauhūm lamhe kī kasak
aañkh meñ ‘aks-e-tamanna dā.era-dar-dā.era
āsmāñ kī vus'ateñ aur sa'i-e-lā-hāsil meñ gum
par-burīda ik parinda dā.era-dar-dā.era
ik hujūm-e-nā’ra-zan hai dā.ere ke ās-pās
aur maiñ paiham tamāshā dā.era-dar-dā.era
rāste masdūd the lekin rahā 'azm-e-safar
maiñ ne harf-e-shauq likkhā dā.era-dar-dā.era
ek an-dekha sa sahra daera-dar-daera
aur main sadiyon ka pyasa daera-dar-daera
dil mein ek bite hue mauhum lamhe ki kasak
aankh mein ‘aks-e-tamanna daera-dar-daera
aasman ki wus'aten aur sa'i-e-la-hasil mein gum
par-burida ek parinda daera-dar-daera
ek hujum-e-na’ra-zan hai daere ke aas-pas
aur main paiham tamasha daera-dar-daera
raste masdud the lekin raha 'azm-e-safar
main ne harf-e-shauq likkha daera-dar-daera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.