ek arsa tak liya hai dushmani ka jaeza
ek arsa tak liyā hai dushmanī kā jā.eza
aur kyā lete kisī kī dostī kā jā.eza
duur karne meñ rahe ham do diloñ kī talḳhiyāñ
dost lete hī rahe tar-dāmanī kā jā.eza
har ravish se uTh rahā hai sahn-e-gulshan kī dhuāñ
lījiye āh-o-fuġhāñ o be-kasī kā jā.eza
aap par us kī haqīqat ḳhud-baḳhud khul jā.egī
lījiye to raushnī se tīrgī kā jā.eza
ghar se jo le kar nikaltā hai irāda āhanī
vo liyā kartā hai be-shak vaqt hī kā jā.eza
shakl se kuchh aur hī lagtā hai dil se aur hī
aadmī aise meñ kyā le aadmī kā jā.eza
hashr se pahle qayāmat 'anvarī' hai kis liye
hosh hai to leñ zarā ham sab usī kā jā.eza
ek arsa tak liya hai dushmani ka jaeza
aur kya lete kisi ki dosti ka jaeza
dur karne mein rahe hum do dilon ki talKHiyan
dost lete hi rahe tar-damani ka jaeza
har rawish se uTh raha hai sahn-e-gulshan ki dhuan
lijiye aah-o-fughan o be-kasi ka jaeza
aap par us ki haqiqat KHud-baKHud khul jaegi
lijiye to raushni se tirgi ka jaeza
ghar se jo le kar nikalta hai irada aahani
wo liya karta hai be-shak waqt hi ka jaeza
shakl se kuchh aur hi lagta hai dil se aur hi
aadmi aise mein kya le aadmi ka jaeza
hashr se pahle qayamat 'anwari' hai kis liye
hosh hai to len zara hum sab usi ka jaeza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.