Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aur lash phir se uThai gai hai aaj

Mustafa Shabbir

ek aur lash phir se uThai gai hai aaj

Mustafa Shabbir

MORE BYMustafa Shabbir

    ek aur laash phir se uThā.ī ga.ī hai aaj

    phir naujavāñ qabr banā.ī ga.ī hai aaj

    insāniyat ko DhūñDhne vaalo sunā hai ki

    laash us kuuḌe kachre meñ paa.ī ga.ī hai aaj

    jis raam naam se ka.ī dīpak jale kabhī

    ek lāsh-e-be-gunāh jalā.ī ga.ī hai aaj

    us bhiiḌ ko qarār huā bas ye dekh kar

    dīvār ghar ḳhuuñ se rañgā.ī ga.ī hai aaj

    mātam kisī ke ghar pe karā kar are sitam

    zālim ke ghar dīvālī manā.ī ga.ī hai aaj

    netā banā ke jis ko chunā us ke haath se

    apne gharoñ ko aag lagā.ī ga.ī hai aaj

    'mūsā' mirī qalam hai bahut chaak dard se

    zikr-e-qitāl-o-zulm likhā.ī ga.ī hai aaj

    ek aur lash phir se uThai gai hai aaj

    phir naujawan ki qabr banai gai hai aaj

    insaniyat ko DhunDhne walo suna hai ki

    lash us ki kuDe kachre mein pai gai hai aaj

    jis ram nam se kai dipak jale kabhi

    ek lash-e-be-gunah jalai gai hai aaj

    us bhiD ko qarar hua bas ye dekh kar

    diwar ghar ki KHun se rangai gai hai aaj

    matam kisi ke ghar pe kara kar are sitam

    zalim ke ghar diwali manai gai hai aaj

    neta bana ke jis ko chuna us ke hath se

    apne gharon ko aag lagai gai hai aaj

    'musa' meri qalam hai bahut chaak dard se

    zikr-e-qital-o-zulm likhai gai hai aaj

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now