ek be-rang nazara bhi to ja sakta tha
ek be-rang nazāra bhī to jā saktā thā
maiñ un āñkhoñ meñ utārā bhī to jā saktā thā
mujh se shikva ki palaT kar nahīñ dekhā maiñ ne
mujhe ik baar pukārā bhī to jā saktā thā
chalo duniyā ke sabab baat nahīñ thī mumkin
āñkhoñ āñkhoñ meñ ishāra bhī to jā saktā thā
bikhre bāloñ pe mire tanz se hañsne vaale
mere bāloñ ko sañvārā bhī to jā saktā thā
kyā zarūrī hai ki har khel sadā tum jiito
zindagī meñ kabhī haarā bhī to jā saktā thā
baḌe zālim ho judā.ī kī sazā dī mujh ko
jān-e-jāñ jaan se maarā bhī to jā saktā thā
ab sulagtī hai hathelī to ḳhayāl aatā hai
vo badan sirf nihārā bhī to jā saktā thā
ek be-rang nazara bhi to ja sakta tha
main un aankhon mein utara bhi to ja sakta tha
mujh se shikwa ki palaT kar nahin dekha main ne
mujhe ek bar pukara bhi to ja sakta tha
chalo duniya ke sabab baat nahin thi mumkin
aankhon aankhon mein ishaara bhi to ja sakta tha
bikhre baalon pe mere tanz se hansne wale
mere baalon ko sanwara bhi to ja sakta tha
kya zaruri hai ki har khel sada tum jito
zindagi mein kabhi haara bhi to ja sakta tha
baDe zalim ho judai ki saza di mujh ko
jaan-e-jaan jaan se mara bhi to ja sakta tha
ab sulagti hai hatheli to KHayal aata hai
wo badan sirf nihaara bhi to ja sakta tha
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 67)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.