ek benam-o-nishan ruh ka paikar hun main
ek benām-o-nishāñ ruuh kā paikar huuñ maiñ
apnī āñkhoñ se ulajhtā huā manzar huuñ maiñ
kaun bahte hue paanī ko sadā detā hai
kaun dariyā se ye kahtā hai samundar huuñ maiñ
mujh ko dam-bhar kī rifāqat bhī havā ko na milī
apnī parchhā.īñ se lipTā huā patthar huuñ maiñ
yahī ujḌī huī bastī hai Thikānā merā
DhūñDne vaale isī ḳhaak ke andar huuñ maiñ
qahr ban jā.eñgī ye ḳhuun kī pyāsī rāheñ
zindagī mujh meñ simaT aa ki tirā ghar huuñ maiñ
ek benam-o-nishan ruh ka paikar hun main
apni aankhon se ulajhta hua manzar hun main
kaun bahte hue pani ko sada deta hai
kaun dariya se ye kahta hai samundar hun main
mujh ko dam-bhar ki rifaqat bhi hawa ko na mili
apni parchhain se lipTa hua patthar hun main
yahi ujDi hui basti hai Thikana mera
DhunDne wale isi KHak ke andar hun main
qahr ban jaengi ye KHun ki pyasi rahen
zindagi mujh mein simaT aa ki tera ghar hun main
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 206)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.