ek bewafa ke gham ka tamasha nahin kiya
ek bevafā ke ġham kā tamāsha nahīñ kiyā
yā'nī kisī se hijr kā charchā nahīñ kiyā
samjhā rahā hai mujh ko vo sahrā-navardiyāñ
jis ne ki 'ishq bhī abhī pahlā nahīñ kiyā
jab tak rahā vo shauq se dil meñ rakhā use
is dil ko us ke vāste piñjra nahīñ kiyā
apnī vafā kā is se baḌā kyā subūt duuñ
ruḳhsat to kar diyā use rusvā nahīñ kiyā
apne kiye pe ḳhud hī pashemāñ thā vo 'asar'
so maiñ ne us se koī bhī shikva nahīñ kiyā
ek bewafa ke gham ka tamasha nahin kiya
ya'ni kisi se hijr ka charcha nahin kiya
samjha raha hai mujh ko wo sahra-nawardiyan
jis ne ki 'ishq bhi abhi pahla nahin kiya
jab tak raha wo shauq se dil mein rakha use
is dil ko us ke waste pinjra nahin kiya
apni wafa ka is se baDa kya subut dun
ruKHsat to kar diya use ruswa nahin kiya
apne kiye pe KHud hi pasheman tha wo 'asar'
so main ne us se koi bhi shikwa nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.